Donations are essential to keep Write Out Loud going    

Kuchh Bhi (Hindi)

Husn ki inteha, nahi koi cheez ho...
Jo bhi dekhe tumko, banke reh jaye tumhara mareez wo...
Kuchh to gazab dilchaspi tum me hai, ki har dil azeez ho...
Shehad se meethi, tum waqai me lazeez ho.

Lajawaab tum thi aik arsa pehle jab,
Baate kam hi hoti thi tum se tab, 
Riwayat tumhari Kuchh alag thi, tumhara wo adab...
Bus khwahish thi khoob aur tumhe dekhne ki talab. 

Itne saalo baad bhi badla nahi hai Kuchh bhi...
Jitni khoobsurat tab thi utni dilchasp ho ab bhi...
Tere deedar ko taraste majnu kam nahi honge ab bhi...
Aur tum deewano ko khaak karti hogi jaise kiya karti thi tab bhi. 

Ankh bandh karta hu to yaado ka dohrata hai silsila...
Mai khamosh ho gaya tha jab aaya tha wo marhalla...
Fir na jaane kis tasveer na Macha Di hai-toba, haye-allah...
Chhuri bankar utri hai seene me, tumhari khoobsurti subhanallah.

◄ Avatar Impact

Comments

No comments posted yet.

If you wish to post a comment you must login.

This site uses cookies. By continuing to browse, you are agreeing to our use of cookies.

Find out more Hide this message