POETRY PASSION
Title:-"....LO IZHAAR KAR DIYA MAINE"
Kitni Mehnat se Aaj Puraani Yaadon ko Darkinaar Kar diya Maine,
Utha ke Khanjar Apney hi Kalejey pe Vaar Kar diya Maine.
Kab se Aas Lagaye Baitha tha Is Ghadi ke Intezaar me koi,
Dekhkar Shiddat Uski Lo Aaj khatm wo Intezaar Kar diya Maine,
Nahi Guzaari Ja sakti poori Zaindagi Yaadon ke Sahaare kisi Ke,
Lo Aaj Iske Liye bhi Khud Ko Tayyaar Kar diya Maine.
Chhaai hui thi ek Ajab si Veeraani Zindagi me Meri,
Thaam ke Haath Tera Lo Zindagi ko Bahaar Kar diya Maine.
Hua karti thi Meri har ek Cheez Aur kisi ki Amaanat Kabhi,
Lo Aaaj Apna sab kuchh Tujh hi Pe Nisaar Kar diya Maine.
Na jaane kaise Kar Liya Faisla Tujhe Apna banane ka maine,
Shayad dekhkar Deewangi Teri Aisa BeIkhteyaar Kar diya Maine.
Ab Tak nahi Hone di thi Zaahir 'Aatif' ne Apni Mohabbat kabhi,
Lo Aaj Jhuka Ke Sir Apna Tere Aagey IZHAAR KAR DIYA MAINE.
Ghazal Self Written BY:-SYED SABAH UR REHMAN-Aatif’.
for more poetry visit my site
AATIF
Thu 30th Mar 2017 17:46
HI WINSTON,
well first of all very thanks for showing interest to my poetry & specially ghazal.
I also appreciate that you know the terminology of urdu poetry...its really commendable
mmm...Actually these all ghazals & poetries are written on my blog https://merejazbaat.com/
if you go there,then you may find a google translator as a WIDGET in side bar.
so by selecting english language..u can see the translation.
but that translation will not be in poetic form.it will be just line to line english translation.
if you want me to translate very line too,then sure I will put the english translation here itself
thanks
AATIF
INDIA