Donations are essential to keep Write Out Loud going    

Yaad hai Tumhe

Yaad hai tumhe?
Woh pal jab tuti si thi main
Khwaishon ka katl kiye
Duniya se ruthi thi main
Tum aaye the aise 
jaise mera sahara ho
Aur zarurat bane aise 
jiske bina na guzara ho
Yaad hai tumhe.......
Woh raat jab 
waqt ka hosh na tha
Aur ehsaas jinpr 
hamara koi zor na tha
Iqraar kiya tha ye, 
ki tumhare bina pyaar 
ka naam na lenge
Aur ye sirf meri ho tum, 
ye kehne ka haq kisiko na denge
Par darr tha mujhe 
ki fir barbaad na ho jau
Dil ko aabad krke, 
khud ko fanaa na kar jau
Fir gale laga kr kaha 
tha tumne main dunga saath
tumhara
Yaad hai tumhe........
Khwaishon ne firse 
jeena sikha diya tha
Gam hota kya hai teri 
mohabbat ne bhula diya tha
Tu raha mere saath 
jaise mera hi saaya hai
Kiya tha iqrar tujhse ki
mujhe firse hasna 
tune hi sikhaya hai
Jis andhere me khushiyaan 
kho gyi thi tune us 
andhere ko mita diya
Aur baat liya har gam, 
mujhpr has sukh luta diya
Aur kehta raha ki tu hi 
hai jo aas hai jeene ki
Yaad hai tumhe.......
Aur maine kaha tha ki 
mujhe apni nafz me basa lena
Koi puche mere baare me 
tujhse toh pyaar se 
do lafz hi suna dena
Aankhon me rakhna itna pyaar 
ki duniya nazar utaar dein
Aur andaaz me woh haq, 
ki mohabbat ki duniya savaar de
Yaad hai tumhe.......
Tumhare paas amaanat tha dil mera
Tod diya na,
Kiye itne kasme waade aur fir aakhir
Chod diya na,
Haq jataya pyaar dikhaya 
diya dil ko dilasa
Kaha tha maine 
bharosa tut chuka hai
Fir bhi wada kiya wafa ka
Chali gyi khushiyaan wapas
Aa gye gam andhere
Aur haan kaha tha maine ki 
koi nhi hai tumhare siwa paas
mere
Yaad hai tumhe.......
Ab maanti hu galti hai meri
Ki dil ko mauka diya wapas
Tanhaai hi sahi par sukun tha
Ye lamha ab dard de gya wapas
Na pyaar krna hai na bharosa
Ye khud ko samjha diya hai
Jo khwaishen jagi thi wapas
Unhe khud hi mita diya hai
Aur haan tujhe kaha tha maine
Ki tere baad koi na aajyega
Aur wada krti hu tu gya
Toh pyaar se dhadakne wala dil
Sirf jeene ke liye dhadkaya jayega
Yaad hai tumhe......

Also Subscribe me on yoube to be updated on new poems

https://www.youtube.com/channel/UCwNdo0VGfDUzWnO9klLa8SQ?view_as=subscriber

Comments

No comments posted yet.

If you wish to post a comment you must login.

This site uses cookies. By continuing to browse, you are agreeing to our use of cookies.

Find out more Hide this message