Kuchh Soch Yu Hi...
Kyu kabhi hum bus lafzo me fas kar reh jaate hai,
Kyu kabhi hum hamari hi bebasi me das kar reh jaate hai,
Sawaal hum karte to hai khud se magar fir bhi yuhi,
Sawaalo ke ghutan me hum kas kar reh jaate hai.
Khojte hai fursato ko lekin har haal me mumkin nahi,
Bechaini ka sabab aksar yehi lekin utna mushqil nahi,
Magar humne sahara liya huva hai apni kamzori ka…
Shayad issliye pahaad lagti har uljhan aasaan nahi.
Aik umeed ki kadi nazar aati hai door toofano me,
Chandi ke lakeer si dikhti hai badalo se girey aasmano me,
Bus aik halka sa rukh aur kisi ka andaaz-e-bhayaan…
Nazar aati hai sohbat suhani, dehakte dil aur behaktey insaano me.
Koi guzarish karta hai khuda se aur nek naami hoti hai,
Farishtey saamne aate hai aur aisi salaami hoti hai,
Dil ke armaan sab aarzoo aik nayi manzil ko badhte hai…
Gazab tareeqe se yaaro farishto ki ghulaami hoti hai.
Zakhm sab bhar jaate hai khushiyaa ka paivand milta hai,
Zindagi ko nayi raah naya hum kadam milta hai,
Rukey huvey jo faisley they wo mazboot ho jaate hai…
Zindagi ko naya saroor, naya saqoon milta hai.