Kuchh Sawaal Jawaab
Aks se poochh baitha dil yeh sawaal:
Kaash kabhi aaisa ho…
Koi miley jot um jaisa ho…
Naye kisi ped ki koi shaakh ho…
Patey naye phool aur nayi saakh ho…
Kamzor dil na koi baat kahe ki chot miley…
Aik aas meri hai ki nayi bahaar ke akhrot miley…
Surkh sebo ki tarah mizaaj haseen honth laal ho…
Door kisi pahadi pe ugi makai ke jaise reshmi baal ho…
Husn itna lajawaab ki chasme jaise phoot pade waah waahi…
Hontho se uske aik gaali nikley kam se kam aur meri ho tabahi…
Aisi koi nazneen tum jaisi kabhi kahi mil jaaye to kya baat ho jayegi…
Patjhad ke mausam me pedo pe bahaar aakaar zindagi tarana ban jayegi…
Kash ki sach ho jaye kaarnaama aisa koi, jiski mujhe besabri se chaah hai…
Aksar akeley me kahi sochta hu mai yuhi, kya unke saamne se guzarti meri raah hai…
Agar waqai me aisa hai to kyu nahi kuchh hota jab jab nazaro se nazar takra jaati hai …
Mai badata hu do kadam aage, na jaane fir kyu kaisey mere kadam aur soch thehar jaati hai…
Shayad guzarti umar ka taqaaza hai, bus khayaal uthtey hai seene me aur fir dafan ho jaate hai…
Lekin jitni der wo rehte hai gardish me, mai jaanta hu ki kis qadar mujhe wo kitna tadpaate hai…
Hai to khel saara waisey yeh naseebo ka, har koi apni kismet me kuch alag hi likha kar aata hai…
Kuchh log meri tarah bhi hotey hai, naseeb achhey hone ke bawajood bhi nahi samajh kuchh aata hai…
Issi khalish me hu tabhi yeh guzarish bhi ki hai, tum jaisa koi mil jaaye to nazariya badley shayad,
Zindagi bhoj ban kar na reh jaaye aur mai khidki se sirf dekhta hi rahoo, kuchh to ho zindagi me aamad!
Uss khayaal ne diya kuchh iss tarah jawaab -
Bad rahi hu mai meri manzilo ki jaanib, kyu fir koi meri raah me aaye iss qadar baar baar…
Raahe meri na jaati uss taraf fir bhi na jaane kyu yeh khayaal karta mujhe giraftaar…
Padh leti hu me aksar lafzo ko shayad isliye ki mujhe jhumlo se hai bahut pyaar…
Magar iska matlab yeh to nahi ki mujh par karey koi yu hi alfaaz ki bochhaar…
Mai ladki hu, tanha shayad, fir bhi na mai ne diya hai kisi ko bhi ikhteyaar…
Na chheda karo apne androoni jazbaato ko, bikhar jaayega aitbaar…
Samet lo apne aapko, abhi bhi waqt hai tumhare paas beshumaar…
Waqt ke chale jaane ke baad tumhare haath lagegi bus haar…
Aik mai hi nahi khoobsurat zamaane me, aur hai kai hazaar…
Ghumnaamiyo se bahar niklo, chaman bus hai beqaraar…
Gulo ki talaash hai agar, to chaman hai gul-o-gulzaar…
Iraada bus tumhara hai, iraade ka de kar ishtehaar…
Zindagi fir tumhari hai, bade khoob hai fir aasaar!
Mai kya hu? Sirf mai jaanti hu…
Badi bareeqi se pehchaanti hu…
Chhupaaye rakha hai kya andar…
Mai bhi ho aik thehra samandar…
Na koshish kar doob jaogey…
Jitna chaah kar qareeb aaogey…
Apni hadho ko pehchaan lo,
Thaam lo khud ko, jaan lo…
Aayina dekhne ki tumhari baari…
Aayiney me chhuppi baat saari…
Nasha, behudgi, ghumaan…
Tumhe ho jayegi teri pehchaan…
Kirdhaar me reh bus itna kahoongi…
Kirdhaar me reh bus itna hi kahoongi !!