Donations are essential to keep Write Out Loud going    

Note: No profile exists for this entry - most likely it was deleted.

Ik nazam apkey naam!!!

Woh pehli mulaqaat ka salaam kya tumhey yaad hai

Mujhey toe hamari har mulaqaat ki hr baat yaad hai

Un ankhon ki masoomiyat bhari mohabbat  bhi yaad hai

Woh rooth kr gussey sey dantna bhi mujhko yaad hai

 

Mujhey teri har baat yaad hai, teri har ada yaad hai

Bhula doon un mohabbat bharey lamhon ko aise bewafa main nahi

Bhool jaun us wadey ko jo tumharey lautney key intizaar key kiyey they aisi kamzoor main hoon nahi

Bawafa meri muhabbat ka saboot main kyun doon jab bewafai mainey kabhi ki nahi

 

Jo hotey tum aaj yahan meyrey kareeb, toe baat hee aur hoti

Woh subhaien aur hotin woh shamein aur hotin

Chalo maan leyti hoon galti sab meri hee thi

Toe ab laut bhi aao ab tum kyunki yeh maafi tumko deni thi

 

Yun in lamhon ko darmiyane dooriyon mey zaya na karo

Waqt barda keemti hota hai, ik baar jaiyey toe lauta nahi hai

Malal reh jata hai, dil mey dard reh jata hai, magr guzra waqt laut kr nahi ata hai

In lamhon ko sameyt lo, aa jao wapas bhar loongi mey tumhey apni aagosh mey

 

Itni taradap, bekarari aur yeh moti jaisey aanson

Sb saboot hain meri paak mohabbat key

Kaho toe thaamey rakhkhoon, kaho toe beh janey doon

Samhala hai is tardapti aas ko, tootey dil ko aur bechain rooh ko kaafi naqaam koshishon key baad, sirf tumharey liyey

 

Aaj bheegi bheegi raat hai, khushbo e mitti mey tumhari mehak hai

Har boond barish ki ley rahi tumhara naam hai

Is sard hawa mey terey honey ki mithaas hai

Bolo toe kaisey katon yeh raat, jab tum hee nahi ho meyrey saath

 

Barishein hoti rahin, waqt guzarta gaya

Lamhey muddaton mey badaltey gayey

Dil  aur rooh meri toot kr bikharta gai

In alfazon mey woh dard ki shiddat nahi, jo main sehti hoon, sehti rahi

 

Agar aitbaar hai tumko meyri paak mohabbat par

Toe ik tarana tum bhi likhkho, ik afsana tum bhi bayan kro

Tumharey dil ki awaz sunkr shayad merey dil ko thorda karar aa jaiyey

Itni si guzarish hai is tootey dil ki, kya tumney suni ya samjhi bhi?

◄ shukriya!!

Kasak!! ►

Comments

No comments posted yet.

If you wish to post a comment you must login.

This site uses cookies. By continuing to browse, you are agreeing to our use of cookies.

Find out more Hide this message