Donations are essential to keep Write Out Loud going    

Note: No profile exists for this entry - most likely it was deleted.

Ik muhabbat bhari dastan!!

Beyzubaan meri muhabbat

Kachchi neend so rahi

Koi uthana na ussey

Naumeed ho rahi

Kuch jazbaat kuchley huyey

Armaan ki seij pr

adhorey khwab hain soyey

Kuch bol do na tum

Meri hasraton ko jhinjhordo na

Kachchi neend ki dor ko

Tum yun kaskey thamey raho na

Ujli si ik andheri kiran

Jagmaga rahi us angan

Jahan rehta hai mera sawan

Barso bhi ab tum jhoom key

Merey dil ki khili dhoop mey

Ik baras yun beet gaya

Mano raat ho so gaya

Uttha jo ab woh ghar sey

Nikla us mord pr sey

Jahan daman chuuta tha ik dor sey

Ab aa raha wo sawan

Merey dil ki baharon mey

Ik nayee umeed jaga raha

Yeh dilkash mausam barsaat ka

Ho raha hai sawera naya

Meri muhabbat key ikrrar ka

Yun panchi ban urd jaiyeyngey

Neeley gagan ko choo ke

Ik naiye duniya basaiyeyngey

Phir aya yeh mausam sukoon ka

Ik aitbaar tha jo jeet gaya

Barson baad mera sawan

Merey angan mey baras gaya

 

◄ Selective information.

aie kaash!!! ►

Comments

No comments posted yet.

If you wish to post a comment you must login.

This site uses cookies. By continuing to browse, you are agreeing to our use of cookies.

Find out more Hide this message