Bus Aik Mai Nahi! (Urdu)
Khamoshi se koi khusbu ko faila de…
Rotey bhilaktey dilo ko behla de…
Dhadkano ko chupke se kehla de…
Zindagi jiyo apne andaaz se… kehti, bus aik mai nahi!
Kaaley dilo ki mehfil me wo safedposh…
Ranjish nahi kisi se bus josh-o-kharosh…
Hone wale hote hai uss dekh-dekh behosh…
Badey pyaar se wo jaati hai chhu… kehti, bus aik mai nahi!
Badalo ke jaisi wo, alag hi hai uska nazariya…
Malham har zakhm ki wo, aas ka ik dariya…
Jannat naseeb ho jaati, wo bus aik zariya…
Khamoshi me bhi wo bassi… kehti, bus aik mai nahi!
Aankho me uske jaise saari qaaynat ho aa bassi…
Doobte ko sahara, wo zindagi ki taraf khenchti rassi…
Dhadkaney badhti jaati dilo ki, aisey jaan hai fassi…
Mulayam uski nazrey phoolo jaisi… kehti, bus aik mai nahi!
Izhaar karne wale baithey hai faryaad me…
Darbaar uska lag jaaye kabhi, issi aitmaad me…
Ranj ko zameendoz kar badey hi shaad me…
Lekin pariya kahan milti hai… kehti, bus aik mai nahi!