Donations are essential to keep Write Out Loud going    

Note: No profile exists for this entry - most likely it was deleted.

Khamoshi!!

Kuch bolo bhi, aisey chup na raho

Kya sochtey ho, kuch toe kaho

Ya phir yahi hai khuda ka faisla

Milkar bhi jo na miley hum

Yehi hai raza khuda ki bhi aur tumhari

Phir mera dil ab bhi kyun hai beqarar

Kyun kr raha ab bhi tumhara intezaar

Kuch jagahein aisi hain jahan main jati nahi

Qabron ko deykh mujhey neend aati nahi

Ik bachpan mey khwab tha mainey ik baar deykha

Tb hee sey qabron sey darti hoon

Khuda ko bs apney dil mey aur fizaon mey deykhti hoon

Qaid ho khuda kisi safeyd ya peyley ghar mey

Aisa main na sochti na samajhti hoon

Hota jo gr khuda ko manzoor jo kuch tha tumharey dil mey

Toe kadam bardha hee deyta merey us chotey ghar mey

Kya kahun kissey bolun kuch samjh nahi ata hai

Dil bs zor sey roney ko kar tumsey liptney ko abhi bhi krta hai

Rah main takti thi darwazey hee pr tumhari

Socha ki tum kahin bahar hee intezaar na krtey hogey

Khair kya bolun aur kya likhkhoon

Dhoondhney ki koshish tumney bhi na ki thordi

Ja rahi thi jb main toe awaz lagai hoti mujhko

Kya bolun kya kahoon, ab kuch samjh mey nahi hai ata

 

 

◄ The world of imaginations

At the eleventh hour!! ►

Comments

No comments posted yet.

If you wish to post a comment you must login.

This site uses cookies. By continuing to browse, you are agreeing to our use of cookies.

Find out more Hide this message