Pyar wo ehsaas hai jo khud ko khud se milata hai
Pyar wo jazbaat hai jo dil Ko lubhata hai
Har pal ek nayi khushi ek naya armaan jagata hai
Sapno ko sach kar dikhane ka hausla dilata hai
Choti choti khushiyon ko batorna sikhata hai
Chote chote lamhon ko jeena sikhata hai
Dusre ki khushi ko apni khushi banana sikhata hai
Ye to bas hume zindagi jeena sikhata hai
Kaid ho jaati hai yaadein.. un yaadon ko sanjona sikhata hai
Ha ye pyar hi h jo kurbaani ka asli matlab samjhata hai
Chahe gam ho ya khushi, ye baatna sikhata hai
Na baato to dil me baichaini bhi jagata hai
Bina awaz or hasi sune ye adhoorapan chaata hai
Ye to bas us awaz ko sun muskurana sikhata hai
Ye pyar hi h jo hume har roz fir jeena sikhata hai
Mile jab kisi ko toh jahaan ko jannat banata hai
Rehne ka ek haseen gulistaan sajata hai
Kho jati h din k ujaalo me jb baatein
Toh raat ko saare raaz batata hai
Ha ye pyar hi h jo chand or taaro ko ajeej banata hai
Ye to bas hume zindagi jeena sikhata hai..! ?
-Gazal